The ghazal
Read it in Urdu script-
Sapnay Bunanay Ka Hisab Rakha Hai Dard Ke Sehne Ka Azab Rakha Hai
-
Sawan Ki Raat Mai Juno Ka Lamha Jalti Aankhon Mai Khwab Rakha Hai
-
Judai Ka Mosam Aur Aziat Ki Barish Ham Ne Murjaya Hoa Gulab Rakha Hai
-
Nidhal Subah Mai Be Basi Ka Sawal Dil Ke Khane Mai Jwab Rakha Hai
-
Rooye Chand Pe Hai Husn Ki Chilman Raat Ne Chehre Pe Niqab Rakha hai
-
ubmitted By: Shabeeb Hashmi


