Jheel Kinare Beth Ke Dono
Pholon Ki Barsat Krain
Moti Pro Ke Un Aankhon Main
Sapno Pe Ham Baat Krain
Sunahri Paryan Par Phelaye
Jannat Ki Aaghosh Bnaye
Ghum Ho Jayen Is Jannat Main
Rangon Ki Barat Krain
Resham Jesi Thandi Hawa Main
Bikhri Hui Zulfon Ki Faza Main
Nainon Ki Phir Bol Ke Boli
Jazbon Ko Betab Krain
Phele Kajal Jese Ho Badal
Urta Hwa Mai Rangeen Aanchal
Seepon Mai Jese Bandhe Moti
Aesi Ham Mulaqat Krain
Saaz Bjayan Barish Ki Bondain
Sunte Jayen Ham Aankhein Monde
Gheet Or Ghazlon Ke Mukhro Par
Lafzon Ki Barsat Krain
Kan Ki Bali Ghal Pe Nache
Sur Aur Taal Pe Kangan Nache
Gajron Ki Mehkar Pe Be Sudh
Har Shab Ko Shab Raat Krain
Neela Sumandar Aur Uska Sahil
Cham Cham Karti Rait Pe Badal
Raqs Karti Hawaon Mai Lehrain
Khushbon Ki Soghat Krain
Jheel Kinare Beth Ke Dono
Pholon Ki Barsat Krain
Moti Pro Ke Un Aankhon Main
Sapno Pe Ham Baat Krain
Submitted By: Shabeeb Hashmi