Ba Mohazzab Hai Zindagi Apni

Ba Mohazzab Hai Zindagi Apni
Diya Apna Hai Roshni Apani
Sar Pe Topi Hai Haath Me Hai Qalam
Kitni Dilkash Hai Sadgi Apni
Mazhab O Zat Ki Nahi Hai Khabar
Kitni Pakeezah Dosti Apni
Jhooth Aaye Kabhi Zaban Pe Na
Qaem Rakhni Hai Bartari Apni
Dusron Se Mujhe Hai Kya Lena
Roza Apna Namaz Bhi Apni
Chal Bhi Sakte Hain Ur Bhi Sakte Hain
Asma Apna Hai Zameen Apni
Mai Sunata Hun Geet, Naghma,ghazal
Dhun Bhi Apni Hai Ragni Apni

Kisi Ki Nigaah Ka

Mera dil hua hai zakhmi kisi ki nigaah ka
Aashiq ye hogya hai kisi ke nigaah ka

Saqi sharab la ke chalun apne raah pe
Rasta ye khojta hai kisi ki nigaah ka

Kasrat se wird karta hai bs naam apka
Lab gaana ga raha hai kisi ki nigaah ka

Aabid ho tum ebadat men dil ko lagao yar
Kyun khyal araha hai kisi ki nigaah ka

Kal shab jo gahri neend men soya hua tha main
Chaunka ke khwab aaya kisi ki nigaah ka

Kal chaundhvi ka chand tha baithe hue the hum
Charcha bna hua tha kisi ki nigaah ka

Khud etakaf me hun magar dil ko kyaa karun
Rozah ye rakh raha hai kisi ki nigaah ka

Qalam e Munib ho ke woh Ghalib ka ho qalam
Qissa suna raha hai kisi ki nigaah ka

Bna liya humne

Sadaqaton kaa fasana bna liya humne
Har ek pal ko zamana bna liya humne
Tamam umr asiran e qafas tha lekin
Ghazab ke tumko deewana bna liya humne
Khuli fiza pakad lungaa band ankhon se
Samandaron me nishana bna liya humne
Tamam tar tere alqab jhut hi nikle
Amir e shahr bahana bna liya humne
Tamam umr hi pee hai magar saliqe se
Sharab e ishq paimana bna liya humne
Jahan woh aaye the milne ek ghana jungal tha
Wahin pe apna kashana bna liya humne
Pata chala ye ke jannat hai ma ke paon me
Qadam ko uske sirhaana bna liya humne