The ghazal
Read it in Urdu script-
Kaam Ab Koi Nah Aeye Ga Bas Ik Dil Ke Siwa Rastay Band Hain Sab Koocha Qaatil Ke Siwa
-
Baais Rashk Hai Tanha Roe Reh Ro Shoq Hum Safar Koi Nahi Dori Manzil Ke Siwa
-
Hum Naay Duniya Ki Har Ik Shai Se Uthaya Dil Ko Lekin Aik Shokh Ke Hungama Mehfil Ke Siwa
-
Tegh Munsif Ho Jahan Daar O Rasan Hon Shahid Be Gunah Kon Hai Is Shehar Mein Qaatil Ke Siwa
-
Jaany Kis Rang Se Aayi Hai Gulistan Mein Bahaar Koi Naghma Hi Nahi Shor-E Salasal Ke Siwa


