The ghazal
Read it in Urdu script-
Sadaqaton kaa fasana bna liya humne Har ek pal ko zamana bna liya humne
-
Tamam umr asiran e qafas tha lekin Ghazab ke tumko deewana bna liya humne
-
Khuli fiza pakad lungaa band ankhon se Samandaron me nishana bna liya humne
-
Tamam tar tere alqab jhut hi nikle Amir e shahr bahana bna liya humne
-
Tamam umr hi pee hai magar saliqe se Sharab e ishq paimana bna liya humne
-
Jahan woh aaye the milne ek ghana jungal tha Wahin pe apna kashana bna liya humne
-
Pata chala ye ke jannat hai ma ke paon me Qadam ko uske sirhaana bna liya humne
Submitted by munib muzaffarpuri


