The ghazal
Read it in Urdu script-
Mera dil hua hai zakhmi kisi ki nigaah ka Aashiq ye hogya hai kisi ke nigaah ka
-
Saqi sharab la ke chalun apne raah pe Rasta ye khojta hai kisi ki nigaah ka
-
Kasrat se wird karta hai bs naam apka Lab gaana ga raha hai kisi ki nigaah ka
-
Aabid ho tum ebadat men dil ko lagao yar Kyun khyal araha hai kisi ki nigaah ka
-
Kal shab jo gahri neend men soya hua tha main Chaunka ke khwab aaya kisi ki nigaah ka
-
Kal chaundhvi ka chand tha baithe hue the hum Charcha bna hua tha kisi ki nigaah ka
-
Khud etakaf me hun magar dil ko kyaa karun Rozah ye rakh raha hai kisi ki nigaah ka
-
Qalam e Munib ho ke woh Ghalib ka ho qalam Qissa suna raha hai kisi ki nigaah ka
Submitted by munib muzaffarpuri


