Skip to content
SadPoetry
EN

Ba Mohazzab Hai Zindagi Apni

Ghazal 7 couplets
Share
Make a card
  1. Ba Mohazzab Hai Zindagi Apni Diya Apna Hai Roshni Apani

  2. Sar Pe Topi Hai Haath Me Hai Qalam Kitni Dilkash Hai Sadgi Apni

  3. Mazhab O Zat Ki Nahi Hai Khabar Kitni Pakeezah Dosti Apni

  4. Jhooth Aaye Kabhi Zaban Pe Na Qaem Rakhni Hai Bartari Apni

  5. Dusron Se Mujhe Hai Kya Lena Roza Apna Namaz Bhi Apni

  6. Chal Bhi Sakte Hain Ur Bhi Sakte Hain Asma Apna Hai Zameen Apni

  7. Mai Sunata Hun Geet, Naghma,ghazal Dhun Bhi Apni Hai Ragni Apni

Submitted by munib muzaffarpuri

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all