Skip to content
SadPoetry
EN
Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi — Munir Niazi

Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi

Munir Niazi Ghazal 5 couplets
  1. Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi Tu Ne Muje Kho Dya Mai Ne Tuj Ko Khoya Nahi

  2. Neend Ka Halka Gulabi Sa Khumar Aankhon Mai Tha Yun Lga Wo Shab Ko Dair Tak Soya Nahi

  3. Har Tarf Dewar-o Dar Aur Un Mai Aankhon Ka Hjom Keh Skay Jo Dil Ki Halat Wo Lab Goya Nahi

  4. Juram Adam Ne Kya Aur Nasal Adam Ko Saza Kat-ta Hon Zindagi Bhar, Mai Ne Jo Boya Nahi

  5. Janta Hon Ik Aese Shakhs Ko Mai Bi Munir Gham Se Pathar Ho Gya Lekin Kabi Roya Nhi

Report a mistake

More by Munir Niazi

All poems