Main Waqt Pay Ghar Kyun Nahi Jata

Sab Kuch To Hai Kya Dhoondti Rehti Hain Nigehain
Kya Baat Hai Main Waqt Pay Ghar Kyun Nahi Jata
Sab Kuch To Hai Kya Dhoondti Rehti Hain Nigehain
Kya Baat Hai Main Waqt Pay Ghar Kyun Nahi Jata
Dard Chala Jata Hai Meray Ghar Ki Dehleez Se Udaas Ho Kar
Pareshan Nahi Hota Main Kabhi Apni Maan Ke Pass Ho Kar
Aik Muddat Se Tri Yaad Bhi Aayi Nah Hamein
Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhe Aisa Bhi Nahi
Maan Ki Aik Dua Zindagi Dey Gi
Khud Roye Gi Tumhain Hansa Dey Gi
Kabhi Bhol Kar Bhi Maan Ko Na Rulana
Ik Choti Si Ghalti Pora Arsh Hila Dey Gi
Chandon Se Kyi Masjidain Tameer Hon Gayi
Kacha Makan Ghareeb Ka Pakka Na Ho Saka
Ghatti Barhti Roshniyon Ne Mujhe Samjha Nahi
Main Kisi Pathar Kisi Dewaar Ka Saya Nahi
Agar Meri Ibadat Ho Dozakh Ke Dar Se
To Dozakh Mein Mujh Ko Jala Dena Ya Rab
Agar Meri Ibadat Ho Jannat Ki Khatir
To Jannat Se Mahroom Kar Dena Ya Rab
Agar Meri Ibadat, Sirf Ibadat Ho Teri
To Fanaa Apni Ibadat Mein Kar Dena Ya Rab
Cherr Dekho Meri Maiyat Pay Jo Aaye To Kaha
Tum Wafadaron Mein Ho Ya Mein Wafadaron Mein Hon