2205 poems
Yun Tu Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aya
Abhi Zinda Hai Maa Meri Mujhe Kuch Bhi Nahi Ho Ga Mein Ghar Se Jab Nikalta Hun Dua Bhi Sath Chalti Hai
Aankh Ki Ye Aik Hasrat Thi Bas Puri Hoyi Aanson Mein Bhej Jane Ki Hawas Puri Hoyi
Adam Ka Jisam Jab Ke Anasar Se Mil Bana Kuch Aag Bach Rahi Thi So Aashiq Ka Dil Bana
Ab Sochte Hain Layen Gey Tuj Sa Kahan Se Ham Uthnay Ko Uth Tu Aye Tere Aastan Se Ham
Aaj Nagah Ham Kisi Se Milay Bad Mudat Ke Zindagi Se Milay
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota Agar Aur Jete Rehte Yehi Intezaar HotaTere Waade Per Jiye Ham Tu Jaan Jhot Jana Keh Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota
Kehte Kehte Kuch Badal Deta Hai Kun Baton Ka Rukh Kun Khud Apne Aap Ke Bhi Sath Wo Sacha Nahi
Aap Ke Bad Har Garhi Ham Ne Aap Ke Sath Hi Guzari Hai
Aahon Se Soz-E Ishq Mitaya Na Jaye Ga Phonkon Se Ye Chiragh Bhujaya Na Jaye Ga
Daman Jhtak Ke Wadi-E Gham Se Guzar Gya Uth Uth Ke Dekhti Rahi Gard-e Safar Mujhe
Raaz Jo Kuch Ho Isharoon Mein Bta Bhi Dena Hath Jab Un Se Milana Tu Daba Bhi Dena
Main Akser Hath Honton Se Laga Kar Choom Laita Hun Kabhi Jab Yaad Ata Hai Tumhara Thamana In Ko
In Shokh Haseenaon Pe Jo Mayal Nahi Hota Kuch Aur Bala Hoti Hai Wo Dil Nahi Hota
Bohat Barbad Hain Lekin Sada-E Inqilab Aye Wahen Se Wo Pukar Uthay Ga Jo Zarra Jahan Ho Ga
Bila Ki Chamak Us Ke Chehray Pe Thi Mujhay Kya Khabar Thi Ke Mar Jaye Ga
Jo Muje Bhula De Gay Mai Unhain Bhula Don Ga Sab Ghuror Un Ka Mai Khak Mai Mila Don GaDekhta Ho Sab Shaklain, Sun Raha Ho Sab Batain Sab Hisab In Ka Mai Ik Din Chuka Don Ga
Aesay Daray Hoye Hain Zamane Ki Chal Se Ghar Mein Bhi Paon Rakhte Hain Ham Tu Sambhal Kar
Ab Wo Batain Na Wo Raatain Na Mulaqatain Mehfilain Khwab Ki Sorat Hoyen Weran Kya Kya
Rait Par Beth Kar Behte Hoye Ashkon Se Tum Bi Likho Gay Mera Naam Mgr Mere Baad
Showing 1368 of 2193