Roshniyon Ne Mujhe Samjha Nahi
Ghatti Barhti Roshniyon Ne Mujhe Samjha Nahi
Main Kisi Pathar Kisi Dewaar Ka Saya Nahi
Read our huge collection of Bashar Nawaz poetry, ghazals and nazams. He is a popular indian poet well known for his Urdu shayari and ghazals. Read and share our collection or submit your own poetry.
Ghatti Barhti Roshniyon Ne Mujhe Samjha Nahi
Main Kisi Pathar Kisi Dewaar Ka Saya Nahi
Ye Ihtimam Chiraghan Baja Sahi Lekin
Sahar Tu Ho Nahi Sakti Diye Jalane Se
Wohi Hai Rang Magar Bo Hai Kuch Lahu Jesi
Ye Ab Ki Fasal Mein Khilte Gulab Kese Hain
Pyar Ke Bandhan Khon Ke Rishte Tot Gaye Khwabon Ki Tarah
Jagti Aankhein Dekh Rahi Thi Kya Kya Karobaar Hoye
Tezz Hawayen Aankhon Mein Tu Rait Dukhon Ki Bhar Hi Gayen
Jalte Lamhe Rafta Rafta Dil Ko Bhi Julsayen Gey
Jane Kin Rishton Ne Mujh Ko Bandh Rakha Hai Ke Main
Mudaton Se Aandhiyon Ki Zad Mein Hun Bikhra Nahi
Bohat Tha Khof Jis Ka Phir Wohi Qissa Nikal Aya
Mere Dukh Se Kisi Awaz Ka Rishta Nikal Aya