Koshish bhi kar umeed bhi rakh

Koshish bhi kar umeed bhi rakh rasta bhi chunn
Phir is ke baad thora muqaddar talaash kar
Koshish bhi kar umeed bhi rakh rasta bhi chunn
Phir is ke baad thora muqaddar talaash kar
Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna
Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apna
Tumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai
Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna
Read More […]
Ik shakhs ke jane se badal jati hai duniya
Phir aah bhi karlo to machal jati hai duniya
Mein pyar ka taalib jo hoa ehley jahan se
Zardi si koi chehray pay mil jati hai duniya
Read More […]
Hum sab ki jo dua thi usay sun liya gaya
Phoolon ki terhan aap ko bhi chunn liya gaya
Kitney lahjoon ke ghlafon mein chhupaao tujh ko
Shehar walay mra mauzo sukhan jantay hain
Mujhe de rahe hain taslliyan wo har aik taza pegham se
Kabi aa ke manzir-e aam par kabi hat ke manzir-e aam se
Jo aala zarf hotay hain hamesha jhuk ke mlitay hain
Suraahi surangoon ho kar bhara karti hai pemana
Iraday bandhata hon sochta hon toar deta hon
Kahin aisa nah ho jaye kahin aisa nah ho jaye