Ik shakhs ke jane se badal jati hai duniya
Phir aah bhi karlo to machal jati hai duniya
Mein pyar ka taalib jo hoa ehley jahan se
Zardi si koi chehray pay mil jati hai duniya
Jiss ja pay kabhi tha mein abhi tak bhi wahein hoon
Mein daikhta rehta hon nikal jati hai duniya
Halaat kidhar jatay hain jata hon kِdhr mein
Mein dobta jata hon, sambhal jati hai duniya
Koshish hi nahi karti samajhney ki mujhe yeh
Komal se yeh jazbaat masal jati yai duniya
Abad jahan dil ka, magar khauf laga hai
Kya janye kab aah mein dhal jati hai duniya
Mein chaal chaloon, saada rahon aik barabar
Shatir si magar chaal hi chal jati hai duniya
Khud husn ki baho mein machalnay ki tamanna
Mein shair agar kehta hon jal jati hai duniya
Woh chehra khush rang rasheed itna haseen hai
Hain naqsh o nigar aisay phisal jati hai duniya