Mujh mein aur shama mein
Mujh mein aur shama mein hoti thi yeh baatein shab hijar
Aaj ki raat bachchen ge to sehar dekhen ge
Mujh mein aur shama mein hoti thi yeh baatein shab hijar
Aaj ki raat bachchen ge to sehar dekhen ge
Aaj tak apni jagah dil mein nahi apne hui
Yaar ke dil mein bhala pucho to ghar kyun kar karen
Khilonon ki dukanon ki taraf se aap kyun guzray
Yeh bachay ki tamanna hai yeh samjhota nahi karti
Tumhe bhi neend si anay lagi hai thak gaye hum bhi
Chalo hum aaj yeh qissa adhoora chore dete hain
Talab duniya ko kar ke zan mureedi ho nahi sakti
Khayaal abro e himmat mardana aata hai
Gar kabhi rona hi par jaye to itna rona
Aa ke barsaat tere samnay tauba kar le
Ajab teri hai aey mehboob soorat
Nazar se gir gaye sab khoob soorat