2205 poems
Ghareeb Maan Apnay Bachon Ko Payar Se Yun Manati Hai Phir Bana Lein Gey Naye Kapray Eid Tu Har Saal Aati Hai
Ghuroor Kahay Ka Hai, Ana Kis Baat Ki Huzoor Aakhri Har Raasta Qabrastaan Ko Jata Hai
Ji Dhondta Hai Phir Wohi Fursat K Raat Din Bethe Rahe Taswar Jana Kiye Hoye
Mera Dess Aik Aesi Basti Hai Jahan Mazhab Ke Naam Pe Sar Kat'te HainJahan Mazhab Ki Khatir Naam Ke Muslam Lar Marte Hain
Pochta Hai Jab Koi Ke Dunya Main Mohabat Kahan Hai Muskara Deta Hun Main Aur Yaad Aa Jati Hai Maan
Aaqa Ki Aamad Hai Saja Hoya Zameen o Zaman Hai Khushian Hain Jhoom Raha Sara Jahan Hai Hazoor Aaye Ab Rahat o Sukoon Hai Bas Dukh Dard Koi Raha Hi Kahan Hai
Gham Nah Kar Teray Liye Chairag Ban Jaoon Ga Khud Jal Kar Teri Raah Mein Roshni Kar Jaoon GaDar Hai Ke Mujh Se Ruswaiyun Nah Milein Tumhe Tark Talluq Mein Khud Hi Se Kar Jaoon Ga
Ab Ke Waqat Is Qadar Tezi Se Guzar Gaya Keh Yaadain Bhi Theek Tarah Se Raqam Na Ho Saken
Abhi Bhi Chaand Raton Mein Yahan Pariyan Utarti Hain Amavas Mein Abhi Bhi Noor Mere Sath Chalta HaiHawae Ab Bhi Mujh Ko Der Taq Lori Sonaati Hain Fizayen Ab Bhi Mere Sath Mil Ko Gungunahteen Hain
Wada Keeta Si Us Ne Deesan Aa Ke Deed DilbarMilsaan Gal La Ke Mulaqat Welay Ho Si Rooh Naal Guft O Shaneed Dilbar
Shaakh Se Phool Ko Phir Juda Kar Diya Zakhm Pairo Ka Kisne Hara Kar DiyaEk Tukra Khushi Ka Tha Rakkha Hua Jane Kis Baat Ne Ghumz'da Kar Diya
Apni Ana Ke Waaste Kya Kya Nahi Kiye Rona Tha Jis Maqaam Pe Hum Muskura DiyeIs Tarah Bhi Hayat-e-basar Apni Hogai Mehfil Mein Jaa Ke Hans Liye Ghar Aake Roo Liye
Ham Faqeeron Ki Soraton Pe Na Ja Ham Kai Roop Dhar Lete HainZindagi Ke Udaas Lamhon Ko Muskra Kar Guzaar Lete Hain
Mah Tu Thehra Hai Badalu Main Aamir MahRukh Hi Kaash K Mujhe Mily Koi
Meri Ujri Hui Basti Ko Yunhi Sun-saan Rehne Do Khusihyan Raas Nahi Aati Mujhe Pareshan Rehne DoZeenat Nahi Banta To Nah Ban Mere Dil Ke Aangan Ki Par –apne Ashiyaney Par Meri Uraan Rehne Do
Khirad Pasti Mein Rehne Ki Aadat Daal Lo Ab Tere Hath Se Horon Ki Wo Basti Gayi
Tumhara Dabdaba Logo Yahan Sirf Zindagi Tak Hai Kisi Ki Qabar Ke Andar Zameendari Nahi Chalti
Aaj Phir Maan Mujhy Maray Gi Bohat Ronay Par Aaj Phir Gaon Main Aaya Hai Khilone Wala
Yeh Jo Tum Pharti Ho Ghour Se Mere Shairon Ka Waqar Bharta Hai
Khamosh Raaton Main Jo Dharkenain Bakheri Thi Main Un Ko Lari Main Pro Ke Laya Hun Tu Un Ko Sirf Uchati Hoyi Nazar Se Na Dekh Keh Main Sitaron Se Lar Kar Zameen Pe Aya Hun
Showing 668 of 2193