Chandni Cheenta

sad urdu ghazal

Mere honton se pehlay hansi cheenta
Phir mera dil, meri zindagi cheenta

Aur luttay ko hi paas kya tha mِre
Aankh mein reh gayi thi nami, cheenta

Jo andheron mein pal kar hoa khud jawaa
Kya bhala woh meri aagahi cheenta

Mein ne kachla hai sir, uss ne pehlay mِra
Chaand chenna tha ab chandni cheenta

Jo bhi hoon shukar hai, hkmran to nhِin
Warna har ik nagar, har gali cheenta

Mere bas mein nahi khail taqdeer ka
Tha yeh mumkin khushi aap ki cheenta

Kash aati koi aisi kaari giri
Zor walon ki zor aawri cheenta

Hkmran iss pay qudrat ka haamil nhِin
Dil to chenna hi tha dil lagi cheenta

Zehar lagti hain hasrat jo yeh buliyan
Kook koil, papiha se” pi” cheenta

Poet: Rasheed Hasrat

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments