Khizaan khareed ke laaye hain us ka sood bahar
Magar labon pay rakhi uss ke bawajood bahar
Nazar mein saya tha woh bhi hoa hai ab madoom
Kahin samood hai yaar o kahin pay hood bahar
Farakh dil thay jo kchche gharon mein rehtay thay
Chaman mein bachpana khushbu tha khail kood bahar
Jawani hum ne guzari hai dard fasal ke beech
Nazar mein goya rahi ban ke koi dod bahar
Agarchay chehray pay assaar zalzalon ke thay
Gayi qareeb se chup chaap jaisay kood bahar
Kkhuda ke khaas karam ki talabb hai uss ke liye
Zawaal zad mein nah aa jaye aisa zood bahar
Woh ik shakhs jo hum se bahhar mein bitchrha
Rasheed tab se abhi tak rahi jamood bahar