Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay

urdu ghazal

Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay
Khird se door tumhe aql-e khaam yaad rahay

Ada kiya to hai kirdaar shah zade ka
Magar ghulam ho, ibn-e ghulam yaad rahay

Abhi hain shall mere bazu so haath khech liya
Zaroor lon ga magar intiqam yaad rahay

Nahi abhi, to tumhe jiss ghari miley fursat
Hamaray sath guzaaro ge shaam yaad rahay

Khameer mein hai tumahray, barray bhulakar ho
Abhi liya hai jo zimmay to kaam yaad rahay

Jo apne aap ko shola bayan batatay thay
So di hai unn ki zuba ko lagaam yaad rahay

Bhichar to jana hai itna gumaan rehta hai
Labon ki mohar, dilon ka payam yaad rahay

Yeh moujza bhi koi dِn to dekhnay ko miley
Hamara zikar tumhe subah o shaam yaad rahay

Baja ke zair kiya tum ne apne dushman ko
Sambhal sambhal ke rakho ab bhi gaam yaad rahay

Nah ho ke aur kahin din ka khana kha betho
Hamaray sath hai kal ihtimaam yaad rahay

Rasheed unn ko koi baat yaad ho ke nah ho
Magar tumhara woh jhukk kar salam yaad rahay

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments