Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi

urdu-ghazal

Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi
Hamein fanaa hai magar jawidaan to woh bhi nahi

Hamaray pyar ki nao phansi hai beech bhanwar
Bacha ke laaye koi badbaan to woh bhi nahi

Jo sach kahin to khizaa ourh ke bhi khush hain bohat
Nhِin ujaar magar gulisitan to woh bhi nahi

Jahan talak bhi gayi aankh rind baithy thay
Nawaze sab ko jo pir-e maghaan to woh bhi nahi

Tumhara pyar tha mashroot lotney se mere
Nibhao ehad abhi darmia to “Woh” bhi nahi

Nazar mein ho to kahin hum palat ke na dekhen
Kisi bahhar ka aisa samaa to woh bhi nahi

Hamara naam hawala hi iss mein rang raha
Wagerna aisi koi dastan to woh bhi nahi

Jo aik shakhs tumhe shayari mein dikhta hai
Shareek shair sahi tarjuman to woh bhi nahi

Rasheed ki bhala tauseef kya zaroori hai?
Kere hai shayari jadu bayan to woh bhi nahi

Poet: Rasheed Hasrat

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments