246 poems · 41 poets
Mein Zindagi Ka Sath Nibahta Chala Gaya Har Fikar Ko Dhoyen Mein Urata Chala GayaBarbadyon Ko Sog Manana Fazool Tha Barbadyon Ka Jashn Manata Chala Gaya
Yaad Teri Ko Main Bhula Dun Kya Khat Tere Mein Sabhi Jala Dun KyaMeri Be-khawabi Jan Leti Hai Kuch Ghari Khud Ko Main Sula Dun Kya
Qurb Ke Na Wafa Ke Hote Hain Jhagre Saare Ana Ke Hote HainBaat Niyat Ki Sirf Hai Warna Waqt Saare Dua Ke Hote Hain
Hijr Ka Tara Doob Chla Hai Dhalne Lgi Hai Raat Wasi Qatra Qatra Bars Rahi Hai Ashko Ki Barsat WasiTere Bad Ye Dunya Wale Muj Ko Pagal Kar Dain Ge Khushbo Ke Dais Mai Muj Le Chal Apne Sath Wasi
Mera Tu Ranjishain Sari Mitane Ka Irada Tha Gale Us Shakhs Ko Phir Se Lgane Ka Irada ThaChlo Acha Hoa Us Ne Muje Sahal Se Hi Lota Dya Warna Mera Tu Sari Kashtyan Jilane Ka Irada Tha
Sab Ko Ruswa Bari Bari Kya Karo Har Mosam Mein Fatwe Jari Kya KaroRaaton Ka Neendon Se Rishta Toot Chuka Apne Ghar Ki Pehre Dari Kya Karo
Patha Tha, Magar Baraf Ke Ghalon Ki Tarah Tha Ik Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah ThaKhawbon Ki Tarah Tha, Na Khayalon Ki Tarah Tha Wo Ilm-e Riazi Ke Siwalon Ki Tarah Tha
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kun Bhuj Gya Awargi Is Dasht Mein Ik Shehr Tha Wo Kya Hoya AwargiKal Shab Muje Be Shakal Ki Awaz Ne Chonka Dya Mein Na Kaha Tu Kon Hai Us Ne Kaha Awargi
Gar Dua Bhi Koi Cheez Hai Tu Dua Ke Hawale Kya Ja Tuje Aaj Se Ham Ne Apne Khuda Ke Hawale KyaAik Mudat Hoyi Ham Ne Dunya Ki Har Zid Chor Di Aik Mudat Hoyi Ham Ne Dil Ko Wafa Ke Hawale Kya
Muje Ghuroor Rehta Hai Teri Aashnai Ka Magar Sath Gham Bhi Hai Teri Judai KaBher Mein Akele Pan Ka Ihsas Hota Hai Tere Bin Yeh Haal Hai Meri Tanhai Ka
Bohat Mein Ne Suni Aap Ki Taqreer Molana Magar Badli Nahi Ab Tak Meeri Taqdeer MolanaKhuda-Ra Shukar Ki Talqeen Apne Pass Hi Rakhen Ye Lagti Hai Mere Sene Pey Ban Ke Teer Molana
Baat Karni Mushkil Kabi Aesi Tu Na Thi Jesi Ab Hai Teri Mehfil Kabi Aesi Tu Na ThiLe Gya Cheen K Kon Aaj Tera Sabr o Qrar Be Qarai Tuje Ae Dil Kabi Aesi Tu Na Thi
Dena Pare Kuch Hi Harjana Sach Hi Likhte Jana Mat Ghabrana Mat Darna Sach Hi Likhte JanaBatal Ki Munh Zor Hawa Se Jo Na Kabi Bhuj Payen Wo Shamen Roshan Kar Jana Sach Hi Likhte Jana
Niyat Shoq Bhar Na Jaye Kahin Tu Bhi Dil Se Utar Na Jaye KahinAaj Dekha Hai Tuj Ko Dair Ke Baad Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin
Chamakte Lafz Sitaron Se Chen Laye Hain Ham Aasman Se Ghazal Ki Zameen Laye HainWo Aur Hon Ge Jo Khajar Chupa Ka Laate Hain Ham Apne Sath Phati Aasteen Laye Hain
Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Ham Dukh Sehte Hain Ham Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bi Rehte HainBeet Gya Sawan Ka Mahena Mosam Ne Nazrain Badlen Lekin In Payasi Aankhon Se Ab Tak Aansoo Behte Hain
Tu Ne Dekha Hai Kabi Aik Nazar Shaam Ke Baad Kitne Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke BaadItne Chup Chap Ke Raste Bhi Rahen Gey La-ilm Chor Jayen Gey Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad
Kisi Se Apna Yarana Nahi Raha Yahan Koi Yaar Purana Nahi RahaKhana Badoshon Jesi Hai Zindgani Kisi Dil Mein Ab Thikana Nahi Raha
Mohabat Mein Aesi Chot Khai Hui Hai Gham Hain Sathi Khushi Parai Hui HaiSochte Hain Ke Ab Ham Kidhr Jayen Gey Kisi Aur Dil Mein Na Jagah Bnai Hui Hai
Sanam Pochta Nahi Haal Mera Jeena Hua Jata Hai Mahal MeraKabi Mere Bhi Din Badlen Gey Kisi Din Usay Aye Ga Khayal Mera
Showing 200 of 246