The ghazal
Read it in Urdu script-
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kun Bhuj Gya Awargi Is Dasht Mein Ik Shehr Tha Wo Kya Hoya Awargi
-
Kal Shab Muje Be Shakal Ki Awaz Ne Chonka Dya Mein Na Kaha Tu Kon Hai Us Ne Kaha Awargi
-
Logo Bhala Is Shehr Mein Kese Jiyen Gey Ham Jahan Ho Jurm Tanha Sochna Lekin Saza Awargi
-
Ye Dard Ki Tanhayan Ye Dasht Ka Veran Safar Ham Log Tu Ukta Gaye Apna Suna Awargi
-
Ik Ajnabi Jhonke Ne Jab Pocha Mere Gham Ka Sabab Sehra Ki Bhegi Rait Par Mein Ne Likha Awargi
-
Is Samat Vehshi Khwahishon Ke Zad Mein Paiman Wafa Is Simat Lehron Ki Dhamak Kacha Gara Awargi
-
Kal Raat Tanha Chand Ko Dekha Tha Mein Ne Khwab Mein Mohsin Muje Raas Aye Gi Shayad Sada Awargi



