The ghazal
Read it in Urdu script-
Muje Ghuroor Rehta Hai Teri Aashnai Ka Magar Sath Gham Bhi Hai Teri Judai Ka
-
Bher Mein Akele Pan Ka Ihsas Hota Hai Tere Bin Yeh Haal Hai Meri Tanhai Ka
-
Tumhi Ne Hamari Koi Khabar Na Li Janan Warna Hmain Dawa Tha Teri Dil-rubai Ka
-
Apne Pyar Ki Qaid Se Tum Azad Na Karna Mera Bhi Irada Nahi Rahai Ka
-
Asghar Ko Kun Ta'ana Dete Ho Bewafai Ka Jab Tum Khud Samna Nahi Kr Sakte Sachai Ka
Submitted by M. Asghar Mirpuri


