The ghazal
Read it in Urdu script-
Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Ham Dukh Sehte Hain Ham Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bi Rehte Hain
-
Beet Gya Sawan Ka Mahena Mosam Ne Nazrain Badlen Lekin In Payasi Aankhon Se Ab Tak Aansoo Behte Hain
-
Aik Hmain Awara Kehna Koi Bara Ilzam Nahi Dunya Wale Dil Walon Ko Aur Bohat Kuch Kehte Hain
-
Jin Ki Khatar Shehr Bi Chora Jin Ke Liye Badnaam Hoye Aaj Wohi Ham Se Begane Begane Se Rehte Hain
-
Wo Jo Abi Is Rah Guzar Se Chak Greban Guzra Tha Us Awara Dewane Ko Jalib Jalib Kehte Hain



