The ghazal
Read it in Urdu script-
Bohat Mein Ne Suni Aap Ki Taqreer Molana Magar Badli Nahi Ab Tak Meeri Taqdeer Molana
-
Khuda-Ra Shukar Ki Talqeen Apne Pass Hi Rakhen Ye Lagti Hai Mere Sene Pey Ban Ke Teer Molana
-
Nahi Mein Bol Sakta Jhoot Is Darja Dhetai Se Yehi Hai Jurn Mera Aur Yehi Taqseer Molana
-
Haqeeqat Kya Ye Tu Aap Jane Ya Khuda Jane Suna Hai Jimmy Carter Aap Ka Hai Peer Molana
-
Zameenain Ho Vadairo Ki Machinen Hon Lutairon Ki Khuda Ne Likh Ke Di Hai Ye Tahreer Tumhen Molana
-
Karoron Kun Nahi Mil Kar Falasteen (Palestine) Ke Liye Larte Dua Hi Se Faqat Kat'ti Nahi Zanjeer Molana



