The ghazal
Read it in Urdu script-
Niyat Shoq Bhar Na Jaye Kahin Tu Bhi Dil Se Utar Na Jaye Kahin
-
Aaj Dekha Hai Tuj Ko Dair Ke Baad Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin
-
Na Mila Kar Udas Logo Se Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahin
-
Aarzo Hai Ke Tu Yaha Aaye Aur Phir Umar Bhar Na Jaye Kahin
-
Ji Jalata Hun Aur Sochta Hun Rayegan Ye Hunar Na Jaye Kahin
-
Aao Kuch Dair Ro Hi Lain Nasir Phir Ye Darya Utar Na Jaye Kahin



