The ghazal
Read it in Urdu script-
Chamakte Lafz Sitaron Se Chen Laye Hain Ham Aasman Se Ghazal Ki Zameen Laye Hain
-
Wo Aur Hon Ge Jo Khajar Chupa Ka Laate Hain Ham Apne Sath Phati Aasteen Laye Hain
-
Hmari Baat Ki Gehrai Kya Khaak Samjhe Gey Jo Parbaton Ke Liye Khurd-Been Layen Hain
-
Hanson Na Ham Peh Keh Har Bad Naseeb Banjare Saron Pe Rakh Ke Watan Ke Zameen Laye Hain
-
Mere Qabeelay Ke Bachon Ke Khel Bhi Hain Ajeeb Kisi Sipahi Ki Tilwar Chen Laye Hain



