Skip to content
SadPoetry
EN
Yaad Teri Ko Main Bhula Dun Kya

Yaad Teri Ko Main Bhula Dun Kya

Ghazal 6 couplets
  1. Yaad Teri Ko Main Bhula Dun Kya Khat Tere Mein Sabhi Jala Dun Kya

  2. Meri Be-khawabi Jan Leti Hai Kuch Ghari Khud Ko Main Sula Dun Kya

  3. Muj Ko Kamzor Tum Samjhte Ho Shehr Tere Ki Jar Hila Dun Kya

  4. Mit Gaya Gham Tere Pilane Se Gham-zada Ko Tera Bata Dun Kya

  5. Ishq Tere Mein Rand Jhomen Gey Raqas Bulleh Sa Mein Dikha Dun Kya

  6. Chah Se Parh Ley Fatiah Koi Ishq Ka Maqbara Bana Dun Kya

Submitted by Faqeed Ahmad Faqeed

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all