The ghazal
Read it in Urdu script-
Hijr Ka Tara Doob Chla Hai Dhalne Lgi Hai Raat Wasi Qatra Qatra Bars Rahi Hai Ashko Ki Barsat Wasi
-
Tere Bad Ye Dunya Wale Muj Ko Pagal Kar Dain Ge Khushbo Ke Dais Mai Muj Le Chal Apne Sath Wasi
-
Yun Hi Chup Ki Muhr Lga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Gay? Khamoshi Se Dam Guta Hai Chero Koi Baat wasi
-
Choro Wasi Ab Us Ki Yaadain Tuj Ko Pagal Kar Dain Gi Tu Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Aoqat Wasi


