The ghazal
Read it in Urdu script-
Sab Ko Ruswa Bari Bari Kya Karo Har Mosam Mein Fatwe Jari Kya Karo
-
Raaton Ka Neendon Se Rishta Toot Chuka Apne Ghar Ki Pehre Dari Kya Karo
-
Qatra Qatra Shabnam Gin Kar Kya Ho Ga Daryon Ki Dawe-Dari Kya Karo
-
Roz Qaseday Likhon Gonge Behron Ke Fursat Ho Tu Ye Begari Kya Karo
-
Shabr Bhar Aane Wale Din Ke Khwab Buno Din Bhar Fikar Shab Bedari Kya Karo
-
Chand Zayada Roshan Hai Tu Rehne Do Jugnu Bhaya Ji Mat Bhari Kya Karo
-
Jab Ji Chahe Mot Bicha Do Basti Mein Lekin Batain Payari Payari Kya Karo
-
Rata B-Din Darya Mein Roz Utarti Hai Is Kashti Mein Khob Sawari Kya Karo
-
Roz Wohi Ik Koshish Zinda Rehne Ki Marne Ki Bhi Kuch Tayari Kya Karo
-
Khwab Lapete Sote Rehna Thek Nahi Fursat Ho Tu Shab Bedari Kya Karo
-
Kaghaz Ko Sab Sonp Dya Ye Thek Nahi Sher Kabi Khud Par Bhi Taari Kya Karo



