The ghazal
Read it in Urdu script-
Tu Ne Dekha Hai Kabi Aik Nazar Shaam Ke Baad Kitne Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad
-
Itne Chup Chap Ke Raste Bhi Rahen Gey La-ilm Chor Jayen Gey Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad
-
Mein Ne Aesi Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye Jese Tofan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad
-
Shaam Se Pehle Wo Mast Apni Uranon Mein Raha Jis Ke Hathon Mein Thay Tote Hoye Par Shaam Ke Baad
-
Raat Beti Tu Gine Aable Aur Phir Socha Kon Tha Ba-is Aaghaz-e Safar Shaam Ke Baad
-
Tu Hain Suraj Tuje Maloom Kahan Raat Ka Dukh Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Uta Shaam Ke Baad
-
Lot Aye Na Kisi Roz Wo Aawara Mizaj Khol Rakhte Hai Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad


