Skip to content
SadPoetry
EN
Patha Tha, Magar Baraf Ke Ghalon Ki Tarah Tha

Pathar Tha, Magar Baraf Ke Ghalon Ki Tarah Tha

Ghazal 5 couplets
  1. Patha Tha, Magar Baraf Ke Ghalon Ki Tarah Tha Ik Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah Tha

  2. Khawbon Ki Tarah Tha, Na Khayalon Ki Tarah Tha Wo Ilm-e Riazi Ke Siwalon Ki Tarah Tha

  3. Ulja Hoya Aesa, Ke Kabi Khul Nahi Paya Sulja Hoya Aesa Ke Misalon Ki Tarah Tha

  4. Wo Mil Tu Gaya Lekin Apna Bhi Muqadar Shatranj Ki Ulji Hoyi Chalon Ki Tarah Tha

  5. Wo Rooh Mein Khushbu Ki Tarah Ho Gaya Tahleel Jo Door Bohat Chand Ke Halon Ki Tarah Tha

Submitted by Shahid Aziz Anjum

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all