Sabhi aizaz chotey hain

Sabhi aizaz chotey hain tairay ahsaan ke agay
Bhala yeh qoum tairay haq mein kya aizaz rakhay gi
Salam ae mere quaid, Teri himmat o jurrat ko
Mere mohsin teri khidmat tujhe mumtaz rakhay gi
Sabhi aizaz chotey hain tairay ahsaan ke agay
Bhala yeh qoum tairay haq mein kya aizaz rakhay gi
Salam ae mere quaid, Teri himmat o jurrat ko
Mere mohsin teri khidmat tujhe mumtaz rakhay gi
Sab Ko Ham Bhol Gaye Josh-E Junoon Mein Lekin
Ik Teri Yaad Thi Aesi Jo Bhulai Na Gayi
Doston se is qader sadme uthaye jaan par
Dil se dushman ki adawat ka gilah jata raha
Kyun hijar ke shikway karta hai kyun dard ke ronay rota hai
Ab ishhq kya to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai
Mein jin ko baat karna ae mashafi sikhaya
Har baat mein woh meri ab baat kaatetay hain
Gham ki kis shakal mein tashkeel hui jati hai
Aadmiyyat ki bhi tazleel hui jati hai
Har qadam zeist chankti hai chanaka ban kar
Jiss terhan kanch mein tabdeel hui jati hai
Read More […]
Jitni bhi zamane se mujhy daad mili hai
Mera imaan hai k sab baa-es ustaad mili hai
Shaam bhi thi dhuwan dhuwan husn bhi tha udaas udaas
Dil ko kayi kahaniyan yaad si aa ke reh gayeen