Ajab baatein khatakti hain, mujhe be chain rakhti hain

Mujhe-Bechain-Rakhti-Hain-2

Ajab baatein khatakti hain, mujhe be chain rakhti hain
Meri sansen atakti hain, mujhe be chain rakhti hain

Mohabbat mar chuki lekin, dil o dimagh mein ab tak
Teri yaadain bhatkati hain, mujhe be chain rakhti hain

Nahi talluq koi baqi, to ruqq kar kyun meri janib
Teri aankhen matakti hain, mujhe be chain rakhti hain

Nahi parwah zamane ki, magar jo baatein tum ne ke
Mujhe yakdam jhatakti hain, mujhe be chain rakhti hain

Meri har shai se nafrat hai, to phir kyun balian tairay
Kanon mein latakti hain, mujhe be chain rakhti hain

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments