Maa woh chhat hai bina jis ke ghar nahi hota
Baap deewar hai jo chhat ka pilar hota hai
Koi to hai ke jo har roz yaad karta hai
Woh jis ki mehafilon mein mera zikar hota hai
Is naye saal yeh socha hai ke khush rehna hai
Jis terhan koi akela be fikar hota hai
Chore jaye ga tujhe jab koi chahanay wala
Mein bhi pouchon ga bta dard kidhar hota hai
Tairay shehar ke phoolon ki bhi misaal nahi
Jis terhan koi bohat mehanga itar hota hai
Mere halaat nah pucho ke mein aawara naseeb
Aisa hon jaisay koi dar badar hota hai
Mein woh dareaye mohabbat hon ke jis ka salman
Ik tairay dil ke samandar mein utar hota hai
Salman Ahmad Awan