Sajata Bhi Mujhy Hai

urdu-ghazal

Naz us ke uthata hoon rulaata bhi mujhe hai
Zulfon mein sulaata bhi, jagaata bhi mujhe hai

Aata hai bohat uss pay mujhe gussa bhi lekin
Pyar uss pay kabhi toot ke aata bhi mujhe hai

Dar pay hai meri jaan ke, jo peechay para hai
Woh dushman jaan dostoo bhaata bhi mujhe hai

Anjaan bana rehta hai, bezaar dikhe, par
Wehshat mein, woh tanhai mein paata bhi mujhe hai

Gir aaye jfaa karne pay, tauba meri tauba
Woh qissay wafaon ke sunataa bhi mujhe hai

Jannat ki koi sair karata hai rafeeqo
Dozakh mein magar khech ke lata bhi mujhe hai

Mein uss ki dua ban ke machalta hoon labon par
Din raat woh honton pay sajata bhi mujhe hai

Jo asp samjhta hai lagamo ko pakar kar
Phir shakhs wohi aerh lagaata bhi mujhe hai

Woh jeet ki asnad mere naam laga kar
Khanjar se koi ghaao lagaata bhi mujhe hai

Aata hai mere ghar ko sajanay ke liye bhi
Jab neend khuly chore ke jata bhi mujhe hai

Pehlay to bulaataa hai barray shoq se hasrat
Phir dant ke mehfil se uthata bhi mujhe hai

Poet: Rasheed Hasrat

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments