The ghazal
Read it in Urdu script-
Jhoot se sach ki shoroyat nahi ho sakti Lehja karwa ho tu phir baat nahi ho sakti
-
Jis ki tasveer meri aankh main har pal basi hai Yar us shakhs se mulaqaat nahi ho sakti?
-
Yahan tu din hi tumhain dekhne se hota hai So tere hoty hoye raat nahi ho sakti
-
Hamara dil wo bayaban raigistan hain jahan Dhoop hi dhoop hai barsat nahi ho sakti
Poet Salman Ahmad Awan
Submitted by Salman Ahmad Awan


