Tere jaisa nahi koi jo chani yeh jahan mein ne
Ke to hai hoor jannat ki jo lipti hai hijaboon mein
Jo khilta hai tra chehra tri muskaan se to phir
Koi sani nahi hota tery jaisa gulabon mein
Kahin yeh chaand sharmaa kar falak se choot nah jaye
Isi khatir chupaye rakh to chehray ko naqabon mein
Nasha hai teri aankhon mein isi mein chain hai mera
Rakha hai mai-kadoon mein kya aur rakha kya sharabon mein
Agar to door hai mujh se to koi gham nahi mujh ko
Ke hoti hai milan tum se khayalon aur khawabon mein
Mera sukh to isi mein hai ke to dukh day mujhe har pal
Ko kuch to day raha hai to agar-chay hai azabon mein
Mohabbat to hamein thi aik dojey se magar afsos
Ke hum ne zindagi apne gavayi yun sarabon mein
Bhala yeh kis terhan mumkin hai tera hamsafar hona
Mujhe urna nahi aata, tra maskan uqaabon mein
Tumhe paana meri manzil hai meri kamyabi hai
Rakha hai kya parhai mein, zamane ki kitabon mein
Khuda jab puchta hai ke tujhe kya dun kaho anjum
Marey honton pay tera naam hota hai jawabon mein
Subscribe
0 Comments