Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zuban

pholo ki zuban poetry

Jaanta koi nahi aaj asolon ki zuban
Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zuban

Mosam gul hai khilay ap ki khushbu ke gulab
Bolan aa ke phir zara jholon ki zuban

Ye rawiya bhi hmain shehr ke logo se mila
Phol ke munh main rakhi aj babolon ki zuban

Ap ne samjha ham ne gham ka tadaruk bhi kia
Jaanta kon ham se bhala fazolon ki zuban

Bewaja gharq koi aik bhi ummat na hui
Daalty push pe jab log rasoolon ki zuban

Ham ne maana ke usay phir bhi banay rehna tha
Kat’ti dil ko magar shamolon ki zuban

Aaj hasrat se har ik door nikal bhagay hain
Kia hua? Bolta hai kia ye bagolon ki zuban

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments