Khula hai jhoot ka bazaar, ao sach bolein
Nah ho bulaa se khredar, ao sach bolein
Sukut chaaya hai insaaniyat ki qadron par
Yahi hai mauqa izhaar, ao sach bolein
Hamein gawah banaya hai waqt ne apna
Banam azmat kirdaar, ao sach bolein
Suna hai waqt ka haakim bara hi munsif hai
Pukaar kar sar-e darbaar, ao sach bolein
Tamam shehar mein aik bhi nahi mansoor
Kahin ge kya rasan o daar, ao sach bolein
Jo wasf hum mein nahi kyun karen kisi mein talaash
Agar zameer hai bedaar, ao sach bolein
Chupaye se kahin chaptay hain daagh cheharon ke
Nazar hai aaina bardaar, ao sach bolein
Qateel jin pay sada patharon ko pyar aaya
Kidhar gaye woh gunah-gaar, ao sach bolein