lout to aao ge, lotao ge din raat kisay

urdu sad ghazal

Lout to aao ge, lotao ge din raat kisay
Phir muyassar bhala ayen ge yeh lamhaat kisay

Khoob lagta hai abhi dais se pardes tumhen
Kaam hai khoob yahan, atay hain sandis tumhen
Aik din dekhna puhanche gi bohat thais tumhen

Faisla kar jo chukay ho tu ijazat kaisi
Main tumhain rok lun meri aesi jurrat kesi
Jao tum shaad raho, sakhti-e furqat kesi

Dil pay rakh lon gi mein pathar, nah karoon gi haae
Taa dam zeist, sara sar nah karoon gi haae
Wada hai tum se, zara bhar nah karoon gi haae

Tum wahan jao ge, pardes, saza do ge mujhe
Ho ke majboor, wahan ja ke dagha do ge mujhe
Mujhe maloom hai, chupkay se bta do ge mujhe

Chand din baad mohabbat meri butt jaye gi
Gori pehlu se tumhare jo lapat jaye gi
Meri taqdeer naya safha ulat jaye gi

Tab mujhe yaad tumhari hi sahara day gi
Mere jazbaat ki kashti ko kinara day gi
Qudrat haq mujhe beta bara pyara day gi

Honay lag jaye gi kuch mujh ko tawajah haasil
Aur ho jaoon gi kuch mein bhi ziyada mael
Gori kar day gi tumhare liye peda mushkil

Achay hon ge nah tab itnay bhi tumhare halaat
Apne betay se mulaqaat ki tum kar sako baat
Jail tak jane ke day gi tumhen gori khadshaat

Zindagi se tumhen honay lagey gi uktahat
Ho gi bad bikhat, bad ikhlaq woh gori mun phatt
Aur tumhari zara tab jaye gi sehat bhi ghatt

Doulat o zar to bohat jama karo ge pardes
Zindagi nisf se oopar to geo ge pardes
Aana bhi chaho ge, majboor raho ge pardes

Kitny ahbab ko kaandha bhi na dey pao gy
Rishty daaron ke janazoon main naho aao gy
Kitny hi aakhri dedaaron ko pachtao gy

Dam bah dam waqt guzarta hi chala jaye ga
Aik lamha bhi faraghat ka nahi aaye ga
Hijar dono ko hamein gُhn ki terhan khaye ga

Phir achanak se ajab waqea ho ga waqay
Tumhen maloom nah ho ga ke howa kya waqay
Jo nah waqay howa woh ho gaya goya waqay

Jab kayi roz guzar jayen ge khamoshi mein
Tumhen honay lagey gi fikar si, be fikri mein
Chabiyan bhoolnay lag jao ge tum jaldi mein

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments