The ghazal
Read it in Urdu script-
Kama ke jo bhi lata hai woh ghar pay waar deta hai Karaye daar ko ghar ka kiraya maar deta hai
-
Tujhe maloom hai na hum kisi se lar nahi satke Hamaray haath mein phir kis liye talwar deta hai
-
Kisi ko gaaliyan dena shareefon ka nahi shewa Jo hota hai bura gaali wohi badkaar deta hai
-
Mujhe pakka yaqeen hai mein taraqqi paon ga ik din Duayen raat din mujh ko mra dildar deta hai
-
Bohat takleef hoti hai bohat rota hai dil ghazni Wafaon ke aiwz dhoka koi jab yaar deta hai
-
Ghazanfer ghazni
Submitted by Ghazni


