Tamam log akailey, koye rehbar hi na tha
Bicharnay walon mein ik mera hamsafar hi na tha
Barhana shakhon ka jungle gara tha aankhon mein
Woh raat thi ke kahin chand ka guzar hi nah tha
Tumhare shehar ki har chaon mehrbaan thi magar
Jahan pay dhoop khari thi wahan shajar hi nah tha
Samait layte shakista ghulaab ki khushbu
Hawa ke haath mein aisa koi hunar hi nah tha
Mein itnay sanpon ko raste mein dekh aayi thi
Ke tre shehar mein pohnchi to koi dar hi nah tha
Kahan se aati kiran zindagi ke zandan mein
Woh ghar mila tha mujhe jis mein koi dar hi nah tha
Badan mein phail gaya shaakh bail ki manind
Woh zakham sokhta kya, jis ka charah gar hi nah tha
Hawa ke laaye hue beej phir hawa mein gaye
Khulay thay phool kuch aisay ke jin mein zar hi nah tha
Qadam to rait pay saahil ne bhi rakhnay diya
Badan ko jakray hue sirf ik bhanwar hi nah tha
Poet: Parveen Shakir