The ghazal
Read it in Urdu script-
Baharain phir se aayengi, hawayain phir wohi hongi khizaan Mai Jo gir Gaye pattay ,dubara phir nahi hongay
-
Kaliyan muskurayegi, sadbargh phir naye hongay Patjhad Mai murjha Gaye Jo phool, dubara phir nahi hongay
-
Gulistaan phir wohi hoga, unhi rangoun k phool hongay Magar Jo udd gaye bulbul, dubara phir nahi hongay
-
Kehtay hai sab, waqt badalta hai magar Mai ye kehta houn Waqt to wohi rahega bas aadmi naye hongay
-
Rasm tab Nayi hongi, nayi sab ki manzilein hongi Piche Jo reh gayi rasmai, dubara phr nhi hongay
-
Mehraj mohabbat se paish aa sab se Kya pata Kal ka Ya Kal tu nahi hoga ya phir wo nahi hongay.
Submitted by Paul mehraj


