Jis Aankh Ne Dekha Tujhe

Jis Aankh Ne Dekha Tujhe Us Aankh Ko Dekhon
Hai Is Ke Siwa Kya Tere Dedaar Ki Soorat
Jis Aankh Ne Dekha Tujhe Us Aankh Ko Dekhon
Hai Is Ke Siwa Kya Tere Dedaar Ki Soorat
Barson Guzar Gye Ro Kar Nahi Dekha
Aankhon Mai Neend Thi So Kar Nahi Dekha
Wo Kya Jane Dard Mohabat Ka
Jis Ne Kisi Ka Ho Kar Nahi Dekha
Ragon Mein Dorte Phirne Ke Ham Nahi Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka Tu Phir Laho Kya Hai
Wo Khushi Tha Umeed Tha Ik Ihsaas Tha
Ba’ad Mein Ye Guman Hoa Bas Pal Do Pal Ka Sath Tha
Rehta Hai Aaj Bi Intizaar Is Aankh Ko Kisi Apne Ka
Wo Ja Ka Aaj Bi Sath Hai Jo Kabi Hamary Pass Tha
Aankhon Main Intezaar Ke Lamhat Sonp Kar
Neendain Bi Le Gaya Wo Apne Safr Ke Sath
Aankh Kambkhat Se Is Bazam Mein Aansu Na Ruka
Aik Qatrey Ne Daboya Muje Darya Ho Kar
Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha
Aankh Se Dor Sahi Dil Se Kahan Jaye Ga
Jana Wale Tu Hmain Bohat Yaad Aye Ga