Khuda ki itni barri kaayenaat
Khuda ki itni barri kaayenaat mein main ne
Bas aik shakhs ko maanga mujhe wohi nah mila
Bashir Badar is a well known poet especially popular for his Urdu Ghazals. He has published over 7 collections of poems. Here on SadPoetry.org we have a regularly updated collection of his poetry.
Khuda ki itni barri kaayenaat mein main ne
Bas aik shakhs ko maanga mujhe wohi nah mila
Tum mujhe chore ke jao ge to mar jaoon ga
Yun karo jane se pehlay mujhe pagal kar do
Har dharaktey pathar ko log dil samajte hain
Umrein beet jati hai dil ko dil bananay mein
Barray logon se milnay mein hamesha faasla rakhna
Jahan darya samandar se mila darya nahi rehta
Zindagi tu ne mujhe qabar se kam di hai zameen
Paon phelaon to deewar mein sir lagta hai
Yahan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahi
Mujhe glass baray day sharaab kam kar day
Ujalay apni yaado ke hamaray sath rehne do
Nah jane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye
Sir jhukao gey to pathar daiwata ho jaye ga
Itna mat chaho usay woh bewafa ho jaye ga