Kidhr Ja Rahe Hain Ham

Ik Umer Se Fareb-e Safar Kha Rahay Hain Ham
Ma’aloom Hi Nahi Kidhr Ja Rahe Hain Ham
Read our latest collection of Safar poetry from popular urdu poets. Our poetry collection is updated regularly.
Ik Umer Se Fareb-e Safar Kha Rahay Hain Ham
Ma’aloom Hi Nahi Kidhr Ja Rahe Hain Ham
Pichlle Safar Mein Jo Kuch Beeta Beeet Gaya Yaaro Lekin
Agla Safar Jab Bhi Tum Karna Dekho Tanha Mat Karna
Safar Peche Ki Janab Hai Qadam Aage Hai Mera
Mein Borha Hota Jata Hun Jawan Hone Ki Khatir
Ik Safar Mein Koi Dobara Nahi Lut Sakta
Ab Dobara Teri Chahat Nahi Ki Ja Sakti
Aankhon Main Intezaar Ke Lamhat Sonp Kar
Neendain Bi Le Gaya Wo Apne Safr Ke Sath
Apni Marzi Se Kahan Apny Safar Ke Ham Hain
Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Ham Hain
Daman Jhtak Ke Wadi-E Gham Se Guzar Gya
Uth Uth Ke Dekhti Rahi Gard-e Safar Mujhe
Raat Tu Waqt Ki Paband Hai Dhal Jaye Gi
Dekhna Ye Hai Chiraghon Ka Safar Kitna Hai