Na hum safar nah kisi
Na hum safar nah kisi hum nashen se niklay ga
Hamaray paon ka kaanta hamein se niklay ga
Enjoy our latest collection of Musafir poetry from popular urdu poets. We have a large poetry collection which is updated regularly.
Na hum safar nah kisi hum nashen se niklay ga
Hamaray paon ka kaanta hamein se niklay ga
Hasrat pay is musafir be-kas ki roiye
Jo thak gaya ho baith ke manzil ke samnay
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai
Chand Pagal Hai Andheray Mein Nikal Parta Ha
Aik Dewana Musafir Hai Meri Aankhon Mein
Waqt Be Waqt Thehrta Hai Chal Parta Hai
Apni Tabeer Ke Chakar Mein Mera Jagta Khwab
Roz Suraj Ki Tarah Ghar Se Nikal Parta Hai
Roz Pathar Ki Hamayat Mein Ghazal Likhte Hain
Roz Sheshon Se Koi Kaam Nikal Parta Hai
Us Ki Yaad Ayi Hai Saanson Zara Aahista Chalo
Dharkno Se Bi Ibadat Mein Khalal Parta Hai
Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha
Reat Hi Reat Hai Is Dil Main Musafar Mere
Aur Ye Sehra Tera Nakash-e Kafe Pa Chahta Hai
Wo Raat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shayar Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak Tu Ham Ne Dekha Phir Na Jane Kidhr Gya Wo
Ham Se Pehle Bhi Musafir Kyi Guzre Hon Gey
Kam Se Kam Rah Ke Pathar Tu Hatate Jate
Dhondta phirta hoon ay iqbal apnay ap ko
Ap hi goya musafar ap hi manzal hoon main