Teri Aankhen

Aab E Khunk Mein Doob Gaye Shams O Qamar
Mere Ashk Ke Muqabil Nahi, Teri Aankhen

Jheel Nama Kya, Samاndar Nama Hon Gi
Mere Dil Se Nahi Ghehri, Teri Aankhen

Khobsurati Nazare Main Nahin, Nazar Main Hoti Hai
Meri Aankhon Ko Lagti Hain Khobsurat, Teri Aankhen

Labon Se Keh Rahi Ho Na Mila Karo
Aur Khuch Aur Keh Rahi Hain, Teri Aankhen

Sagar O Pemaane Se, Waez Ne Dosti Karli
Ban Gaye Rind Sufi, Jabse Dekhen, Teri Aankhen

Yunhi Badnaam Hai Meri Gustakh Naghahi
Subah Se Shaam Tak Kitnon Ko Takti Hain, Teri Aankhen

O’ Toofaanoo Se Larnay Wale Sikandar
Kyon Saahil Pe Doob Gayi, Teri Aankhen

“saahil”

Hum Tou Tum Se Wafa Karte Rahay

Hum To Tum Se Wafa Karte Rahay
Magar Tum Thay Jo Hum Se Dagha Karte Rahay
Hum Ko Tumhare Se Koi Ranjish Thi Nah Koi Gham Tha
Magar Tum Thay Jo Hum Se Gala Karte Rahay
Hum Ne Tum Ko Samjhaya, Bohat Kuch Bataya
Magar Tum Thay Jo Hum Par Ibham Karte Rahay
Be Lagaam Karte Rahay
Bohat Kavshin Kee Tum Ko Raazi Karne Ki Hum Ne
Magar Tum Thay Jo Baar Baar Na Karte Rahay
Be Panah Karte Rahen

Unki Tekh Nigahein Dekh

Unki Tekh Nigahein Dekh, Maine Kya Sar Jhuka Diya
Khuda Ko Khuda Samaj Bethe, Mushrik Mujhe Bana Diya

Ab Kehte Hain Mujh Ko Sajda Karo, Per Unki Koi Khata Nahi
Thee Mere Ishq Ki Intaha, Arsh Par Unhe Bitha Diya

Kisne Kaha Tha Tumhein, Behijaab Milne Aaya Karo
Pehle To Sirf Aashiq Tha, Dewaana Mujhe Bana Diya

Apne Ishq Ki Dastaan, Thodi Ajeeb O Garib Hai
Khud Toh Woh Laila Ban Na Saki, Aur Majnoon Mujhe Bana Diya

‘SAAHIL’ Ko Ilzaam Na Do, Saahil Ki Khata Nahi
Tere Hi Taqabur Nay, Nazar Se Tujhe Gira Diya

Tum Jante Ho, Ke Woh Wafadaar Nahi

Saqi Na Pila, Bhar Bhar Ke
Mujhe Mai Se Sarokaar Nahi

Aata Hoon Peene, Nighahoon Se
Rind Hoon , Bada Khar Nahi

Har Baat Main Faidey Ki Baat Karte Ho
Yeh Ishq Hai Meri Jaan, Karobaar Nahi

Main Jan Bujh Ke Teri Batoon Main Aajata Hoon
Jitna Samajhte Ho, Tum Itne Hoshyaar Nahi

Teri Chaha Mein Tere Daam Bik Gaye Warna
Itne Aarzaan Toh Mere Ghesu e Tabdar nahi

Woh Din Gaye Jab Dil Main Basa Karte Thay
Ab Meri Aankhoon Ko, Tera Intezaar Nahi

Kyon Khud Ko Barbaad Kar Rahe Ho ’Saahil‘
Tum Jante Ho, Ke Woh Wafadaar Nahi