2205 poems
Yun Mere Sath Dafan Dil Be-Qarar Ho Chota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho
Khalid Main Baat Baat Pe Kehta Tha Jis Ko Jaan Wo Shakhs Aakhirash Mujhe Bey Jan Kar Gya
Apni Tabhaion Ka Muje Koi Gham Nai Tum Ne Kisi Ke Sath Mohabat Nibah Tu Di
Wo Raat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shayar Wo Tera Nasir Teri Gali Tak Tu Ham Ne Dekha Phir Na Jane Kidhr Gya Wo
Bemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahye Mein Peta Hun Pila Deni Chahye
Yeh Nazar Muntazir Hai Teri Aj Bhi Dil Kisi Or Sy Aashnaa Hi Nahi Ma Kiun Rasta Dun Kisi Aur Ko Jab Koi Tery Jaisa Bana Hi Nahi
Mera Tu Ranjishain Sari Mitane Ka Irada Tha Gale Us Shakhs Ko Phir Se Lgane Ka Irada ThaChlo Acha Hoa Us Ne Muje Sahal Se Hi Lota Dya Warna Mera Tu Sari Kashtyan Jilane Ka Irada Tha
Jis Nagar Bi Jao Qissay Hain Kambakhat Dil Ke Koi Le Ke Ro Raha Hai, Koi Dey Ke Ro Raha Hai
Ab Kar Ke Faramosh Tu Nashad Karo Gey Par Ham Jo Na Hon Gey Tu Bohat Yaad Karo Gey
Koi Ahat, Koi Awaz, Koi Chap Nahi Dil Ki Galyan Bari Sunsan Hai Aye Koi
Un Ka Zikar Un Ki Tamanna Un Ki Yaad Waqt Kitna Qeemti Hai Aaj Kal
Sab Mere Baghair Mutmayin Hain Mein Sab Ke Baghair Ji Raha Hun
Tere Khayal Mein Jab Be Khayal Hota Hun Zara Si Dair Hi Sahi Be Misal Hota Hun
Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain Inhi Se Aanso Aahen Aangan Aangan Hain Inhi Se Qatal-E Aam Hoya Aashaon Ka Inhi Se Veran Umeedon Ka Gulshan Hai
Kye Rog De Gayi Hai Naye Mosmon Ki Barish Muje Yaad A Rahe Hain Muje Bhol Jane Wale
Jinhen Mein Dhondta Tha Aasmano Mein Zameeno Mein Wo Nikle Mere Zulmat Khana-E Dil Ke Makeeno Mein
Wo ju kehta tha ishq main kia rakha ha aik heer nay usy ranjha bana rakha ha
Ki Wafa Ham Se Tu Ghair Is Ko Jafa Kehte Hain Hoti Ayi Hai Ke Achon Ko Bura Kehte Hain
Ishq Ke Medan Mein Dore To Nahi Thay Ab Bi Gadhe Ho Pehle Bi Ghore Tu Nahi ThayOffice Be Lait Aye Ho Aur Kaan Bi Hai Laal Begham Ne Raat Ko Kaan Marore Tu Nahi Thay
Is Se Pehle Keh BeWafa Ho Jayen Kyun Na Ae Dost Ham Juda Ho Jayen
Showing 1608 of 2193