Baras Jao Kisi Din – Amjad Islam Amjad Ghazal

Chehray Pe  Mere Zulf Ko Phlao Kisi Din
Kya Roz Garjte Ho, Baras Jao Kisi Din

Razon Ki Tarah Husn Ki Barish Main Naha Lo
Badal Ki Tarah Jhom Ke Ghir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarah Guzro Meray Dil Ki Gali Se
PHolon Ki Tarah Muj Pe Bikhar Jao Kisi Din

Guzrain Jo Mere Ghar Se Tu Ruk Jaen Sitare
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kis Din

Main Apni Har Ik Sans Usi Raat Ko De Doon
Sar Rakh Ke Mere Senay Pe So Jao Kisi Din

Har Rasta Sunsan Hua – Mohsin Naqvi Ghazal

mohsin-naqvi-ghazal

Jab Se Us Ne Shehr Ko Chora Har Rasta Sunsan Hua
Apna Kia Hai, Sare Shehr Ka Ik Jese Nuqsan Hoa

Sehra Ki Munh Zor Hwain, Auron Se Mansob Huen
Muft Main Ham Awara Thehray Muft Main Ghar Sunsan Hua

Mere Hal Pe Ye Hairat Kesi, Dard Ke Tanha Mosam Main
Pathar Bi Ro Parte Hain, Insan Tu Phir Insan Hua

Yun Bi Kam Aamez ha Mohsin Wo Is Shehr Ke Logon Se
Lekin Mere Samney Aa Kar Aur Bi Kuch Anjan Hoa

Have I told you yet – Love Poems

love-poems

Have I told you yet…
How much you mean to me…
Have I told you yet…
About all the happiness you bring!
Have i told you yet…
That you mean the world to me!
Just in case I haven’t
I want you to know that…
You’re the best thing
that’s ever happened to me!
I Love You!

Faqat Chehray Badalte Hain By Habib Jalib

habib-jalib-shayari

Kahan Qatal Badlte Hain Faqat Chehray Badalte Hain
Ajab Apna Safar Hai Fasle Bi Sath Chalte Hain

Bahut Kam Zarf Tha Jo Mehflon Ko Kar Gya Weran
Na Pocho Hal-e Yaran Sham Ko Jab Saye Dhalte Hain

Wo Jis Ki Roshni Kache Gharon Tak Bi Pahunchti Hai
Na Wo Suraj Niklta Hai Na Apne Din Badlte Hain